Kya apka baccha duniya Ka samna krne ko tyyar hai?

Please note the post is in Hinglish, a blend of Hindi and English, in particular, a variety of English used by speakers of Hindi, characterized by frequent use of Hindi vocabulary or constructions.

Dr. Sibal ki es kitab ko pad kr mai ne ye mahsus kiya ki ache mata pita banna ek kaushal hai, jo samay ke saath viksit hota hai. Aaj ki duniya mai bahutere electronic upkrno ke prbhaw ki wajh se bacchon pr dawab bahut bad jata hai esliye unke saath samwad krna aur taalmel bithalna behad mushkil ho jata hai. Aaj kl mata pita me liye ak hi waqt pr teen teen jimedariyan sambhalna mushkil ho gaya hai - roji roti kamana, pariwar ki dekhbhaal krna aur mandali se jude kaam krna. Eske bawzud maa pita waqt nikal kr apne bacchon ki madad kre. Jisse humare bacche apne sathiyon ka dawab, parikshaon aur pareshaniyo ka datkr mukabla kr sake.

Ek mata pita hone ke naate mai ye manti hu ki mitti ka dher dhikne mai kisi kaam ka nahi lagta, magar wahi mitti agar kisi hunarmand kumhar ke haath aa jae, to wah use dhal kr ak khubsurt bartan tyyar kr sakta hai, mata pita bhi bhi jub apne bacchon ke charitr ko dhal kr unhe Acha ensan banne mai madad dety hai, to samaj ko bahut fayda hota hai.

Jaese mitti ka bartan tyyar krna koi asan kaam nahi wese hi all bacche ki parwarish krke use ak bharosemand aur samjhdaar ensan banana bhi asan kaam nahi.

Aur ant mai yahi kahna chahungi ki aesa badlaw ettfak se nahi balki prayas se ata hai.
Thank you, 
Bhawna Sharma, Helpful Icon
The Iconic School, Bhopal

Blog Archive